Monday, April 22, 2013

Meri Kahani


meri kahani.. by me~loveguru~ agar wo kahata chale jao chod kar ye duniya, mujhe nafarat hai tumhare akhs se, chale jate hum is duniya se huste-huste, itni mohabbat hai mujhe us skhs se.. lekin wo mujhe na hi chod jane ko kahata hai,, aur na hi pass aane ko... kahata hai nahi mohabbat hai tumse, lekin mere dil ko chahat hai teri.. paas aana na mere, lekin dur jana na mujhse kahin.. main kahungi na apne gum aum batein tumse.. lekin kahni padegi tujhe apni saari baatein mujhse.. wo karta hai na aitabar mera.. wo puchta hai mujhse, bta kaise hoon main pyar tera..! rahata hai har pal meri yaadon mein mere najdik itna.. banata hai na raqeeb mujhe apna.. vishwas karta hai meri baaton par... apne ask bhi girata hai meri akele gujari har raaton par... rakhta wo itna khayal mera , jitna rakhta na ho koi aur khayal mera... uski har baatein mere dil ko chu jati hain, uski aawaj ki jo gunj hai wo sunne ko mere dil ki aarju ban jati hai.. kya karu uske aise salukat ko... karta rahata hai har pal meri soch mein mujhse mulakat wo....

No comments:

Post a Comment